In this installment of this series on poets of the Lucknow school , I present Bisheshwar Prasad Munawwar Lakhnavi.
Kisi soorat se ho jaata hai saaman-e-safar paida
Iraada kar hi leta hai khud apni rahguzar paida
Gunaahgari ki neeyat ko gunaahgari nahi kehte
Safar ke qasid se hoti hain kab gard-e-safar paida
Zaroori kya ke barse aag oopar se nasheman par
Khas o khashak mein ho jayenge barq-o-sharar paida
Koi parsan-e-gham ho ya na ho kya farq padhta hai
Aziyat khud hi kar leti hai apna charahgar paida
‘Munawwar’ mujh pe shaam-e-yaas ghalib aa nahi sakti
Ke har umeed se hota hai ek rang-e-sahr paida
wah
Advertisements