Dabistan-e-Lakhnau ke kuch namoone #19: Natiq Lakhnavi

Hakim Saaed Ahmad Natiq Lakhnavi bhi Dabistan-e-Lakhnau ke ek maane hue sha’ir the. Lekin afsos aaj kal unse ziadah log vaqif nahi hai…. kya kiya jaiye. Chaliye, main bhi kuch koshish karta hoon. Ek sha’ir ko uske kalam se hi pehchana jaana chahiye…. is maqsad se Natiq ke kuch asha’ar aap sab ke nazar

Ta’aruf ke liye is se kya behtar ho sakta hai

Koi na sun saka mera qissa zamaane mein
Itna asr bhi ho na kisi ke fasaane mein

Khair aur bhi dekhen

Guzari dekhne mein iski saari zindagi maine
Magar yeh shauq hai dekha nahi goya kabhi maine

Mohabbat ek muddat se hai yeh maloom hota hai
Tumhen har chand pehli baar dekha hai abhi maine

Khayal dosti mein jo tha mujhko maafi de
Na pehchana jo tujh ko ae nigah-e-dushmani maine

Dekh kar inko nazar mein yeh asr hota hai
Jis taraf dekhe ek husn nazar aata hai

Ek qita’at dekhen

Chipaon sab se munh kab tak bata apna nishan mujhko
Ke teri justju mein dhoondhta hain ek jahan mujhko

Agar maikashan ho mere saath is ka zahid-o-butan
To main samjhoon ke goya mil gayi donon jahan mujhko

Gudae maikadah tha ab hoon main shaiekh-o-haram ‘Natiq’
Kahin aesa na ho ke pehchaane koi yahan mujhko

Kuch aur asha’ar

Lehrati hai ek bijli seene ke hijaabon par
Jumbish mein haram ka jab parda nazar aata hai

Dil mein hai sarmaye kaunain rahat ke siva
Dono aalam hai mere qabze mein qismat ke siva

Yeh do par khaas tawaaju chahunga

Josh-e-girya aur andheri raat hai
Kya ghata hai kya bhari barsat hai

Ghurbat ki bekasi par kar loonga sabr yaarab
Vapas magar na karna is haal se vatan mein

Aur yeh bhi dekhen

Mere naalon ki shikayat sahab-e-mehfil sah ki
Yeh isi ke bazm ka cherha hua ek saaz hai

Girta hai koi aag mein kya kijiye magar
Shabnaam ko aftaab ki qurbat pasand hai

Aur khatam in do se kiya jaaye

In ke tevar bhi na bigde baat bhi apni bane
Haal ham kehte rahe voh dastaan samjha kiye

aur

 Khush-o-nakhush mujhe jannat mein basar karna hoga
Ek zara rang tabiyat ka kuch to badalna hoga

3 responses to this post.

  1. Posted by sohaib ahmed javed' on September 9, 2011 at 17:29

    mashallah kya bat hai……maine pehli martab ein ki gazal bhuji hui shamma ka dhuan houn, nusrat fateh ali khan ki awaz main suni thi……..mashallah……kya bat hai…..

    Reply

  2. Posted by bushra moiz on November 4, 2013 at 05:09

    iam thegreat granddaughter of allama sahab if u have his diwan plz contact me

    Reply

  3. Posted by Mateen wahidi on January 25, 2014 at 19:59

    Mujhe hazrat ka deevan chaye agar kesi k pas ho ya koi zarya janta ho to plz batae

    Reply

Leave a comment