Wasim Barelvi ke kuch aur asha’ar

Wasim Barelvi sahab ki kuch aur tareef karna – gar ek purana muhavra istemaal karne ki ijazat ho – aftaab ke rukh par chiragh chamkane ke barabar hain. Aur koi bhi sha’ir ki tareef uske qalaam hi kar sakta hai, is liye Wasim sahab ki ek qita’at aur kuch asha’ar dekhen….. Jahaan par hi na raha jayega mujhse mein wahan hi tafsira karunga…. Aghaz yeh qita’at se kiya jaye….

Jahan darya kahi aapne kinaare chorh deta hai
Koi uthta hai aur toofan ka rukh morh deta hai

(Is asha’ar ko padhne ke baad mere zehn mein achanak ek Maghribi adab ke ek kirdar aaya. Lekin main uska zikr yahan nahi karunga kyunkar main ghazal ka raah rokna nahi chahta hoon… alag se aur jald) 

Mujhe bedast-o-pa kar ke bhi khauf us ka nahi jaata
Kahin bhi haadsa guzre woh mujhse jorh deta hai

Bichad ke tujh se kuch jaana agar to is qadr jaana
Woh mitti hoon jise darya kinaare chorh deta hai

(Aur ab aakhri asha’ar… Padhne waalon, khas tawajju ki umeed karunga main. Bahut badhi baat kahi hai Wasim sahab se …. aur aisi jo main apne tajurbe ke bina pe keh sakta hoon ke sach hai)

Mohabbat mein zara si bewafai to zaroori hai
Wohi achcha bhi lagta hai to vaadeh torh deta hai

Khair, ab kuch mukhtalif asha’ar…… Pehla waala Wasim sahab ka kafi mashoor asha’ar hai aur kayi martaba nizam-e-mushaira unka istaqbal ise ko keh kar karte hai….

Jahan rahega wahi roshni lootayega
Kisi chiragh ka apna makan nahi hota

Yeh nihayat dukh ki baat hai ke yeh asha’ar ek asliyat ka bayan hai….

Sharafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahi
Kisi ka kuch na bigadon to kaun darta hai

Aur yeh dekhen … ik behad kimti falsafa is mein laya gaya hai aur bahut khubsurti ke saath

Yeh duniya jis mein dobara kahin kuch bhi nahi hota
Yahan kaise kisi ka saath koi chorh jaata hai

Aur yeh bhi dekhen…..

Raat to waqt ki paband hai dhal jayegi
Dekhna yeh hai chiraaghon ka safar kitna hai

Aur yeh….

Tamaam raat sitaron se guftagoo kar li
Ab iske baad tera intezaar kaise ho

Phir….

Zindagi bhar hamen jin par chalna padha
Hum inhi raaston ke musafir na the

Kabhi himmat hui to main zamaane ko batunga
Meri rusvaion mein teri chhap ka haath kitna hai

Yeh kaisi shart lagayi hai meri ankhon ne
Ke tujh ko sochna chorhon to neend aayegi

Yeh aur baat teri nazar mein na aa sake
Varna kahi bhi kam to nahi the kisi se hum

Aur yeh bhi dekhiye

Woh samne aa jaye to rukne lagi saansen
Main phir bhi use dushman-e-jaani nahi kehta

Ek akele shakhs ka naala…..

Sab andheron se koi vaadah kiye baithe hai
Kaun aise mein mujhe shama jalane dega

Aur aajkal ke halaat par

Aaj kal ke raaston ki beyaqeeni dekh kar
Kaun hai jis mein safar ka hausla rah jayega

Maine muddat se koi khwab nahi dekha hai
Haath rakh de meri aankhon pe ke neend aa jaye

Sham tak subah ki nazron se utar jaate hai
Itne samjhauton pe jeete hai ke mar jaate hai

Yeh bhi dekhen… ek alag andaz hai

Kitni gunahgaar hai raaton ki zindagi
Dekho kisi chiragh ki aankhon mein jhaank kar

Aur yeh jabke aap ko asan aur ek zaahir baat lagegi…par jab phir gaur karenge, tabhi aap iski gehrai samajh payenge

Saans ka matlab jaan nahi hai
Jeena koi asaan nahi hai

Maine has has ke guzaara hai tujhe
Zindagi tujh pe mera ahsan hai

Aur phir…. yeh baat bhi sach hai is daur mein…

Musalsal hadson se bas mujhe itni shikayat hai
Ke yeh ansu bahaane ki bhi mohlat nahi dete

Lekin Wasim sahab hausla bhi dete hain, jaise is se dekhen

Hadson ki zad pe hai to muskurana chorh den
Zalazalon ke kahuf se kya ghar banana chorh den

Aur phir

Main kuch is tarah jiya hoon ke yaqeen ho gaya hai
Mere baad zindagi ka bada ehteraam hoga

Aur yeh ek hai jis par kafi logon ko padh kar sochna chahiye…..

Tum giraane mein lage the tum ne socha hi nahi
Main gira to masla ban kar khada ho jaayunga

Aur aakhir mein yeh ek baat hain jo sab ko is khana-e-kharaab mein apne dil mein hargiz rakhni chahiye aur is par amal bhi karna chahiye. Mushkil to hai, lekin tab bhi faida hoga…..

Khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
Bure zamaane kabhi puch ke nahi aate

29 responses to this post.

  1. kisne dastak di hai dil par, kaun hai, aap to andar hai bahar kaun hai,
    (wah, rahat sahab ek sher me sab bayan kardiya)

    Reply

  2. Posted by ali yawar on March 13, 2011 at 18:32

    salam wasim sir… i love ur poetry very much… ya seedhe lafzo me kahu to is waqt koi bhi shayar aapke jesi poetry nhi kar sakta… mene aapki bahut si poem padhi aur har poem pehli poem se achhi lagi… jadu hai aapke lafzo me… likhte rhiye… aur meri ek khwaahish ki kabhi kismat saath de to aapse milna chahta hun…

    Reply

  3. salamwalequm bhai,,aap bahut achchha kaam kar rahe ho allah aapkoaur neki karne ki tawfik de achchha blog banaya hai aapne ,,,,

    Reply

  4. Posted by Ubaid khan on April 16, 2011 at 19:13

    Aaj aap ke bahut se purane ashaar padhe Jo zehan mein phir se Taza ho gaye.

    Reply

  5. Posted by Durganath on April 21, 2011 at 17:13

    Itne behtrin sher ek sath padhwane k liye sukriya dost

    Reply

  6. Posted by Hardik Trivedi on April 22, 2011 at 08:17

    shukriya….

    Reply

  7. Posted by pardeep on May 5, 2011 at 16:01

    thanx dost sayad hi maine feelings ko itney karab se jana ho jis tarah aaj main unse rohberoh hua.

    Reply

  8. Posted by Nyla /Neelu on May 14, 2011 at 09:03

    Wasim Uncle Assalawalekum – Jab main choti thi tab maine aap ki godh mein baith kar geet suna tha apne ghar ke drawing room mein – anuraagi saawan kya jaane mujh birhan ki pyaas – ek baar phir se sunna chahti hun U tube mein lyrics nahi milti – Main Tayyab aur Shahnaz ki baytee hun aap Ajmer har saal aate the hamare Gharib khane par – pls write me your email ID and Phone number these days I live in Nepal.

    Reply

  9. Posted by sarfraz'faraz'pali on June 28, 2011 at 21:11

    ye mana jindagi ne muskurana chod rakkha hai mere khwabon main acche din hasane roj aate hain sarfaraz’faraz ki taraf se wasim shab ko

    Reply

  10. Posted by rahil on September 23, 2011 at 05:14

    assalam alaikum
    apka agla mushaira kab aur kahan hai?
    apka chahne wala
    rahil

    Reply

  11. Posted by ishtiyaq ahmed on October 11, 2011 at 08:38

    salamalikum wasim sahab maine aapka naam news paper se paya jagjit singh ke interview me tha aapka naam wasim bhai mujhe aap sher bahot bahot ache lage pehli dafa sher padha aur dil ko chu gaya .khuda ne aapko bahot anmol fun ata kiya hai hame khushi hai aap sher likhte hai tab aur khushi hogi jab aap hamer huzoor ke shaan me kuch naat likhe hame umeed hai aap zarror likhenge(mai ishtiyaq ahmed qureshi mumbai se 09819892496

    Reply

  12. can any body guide me from where I can get CD/DVD of Wasim Barelvi ? my email is umeshbhargava@gmail.com and cell number is 8978505050

    Reply

  13. bahut khoob…
    ek se badhkar ek..!!

    Reply

  14. Posted by Arif Qureshi on May 13, 2012 at 07:38

    Yu to aur bhi sukhnawar hai duniya me bahut achhe.kehte hai k ghalib ka andaze bayan hai kuch aur. Apke baare me aur kya kahe waseem sahab bus isi ashaar ka tasavvur kar lijiye.

    Reply

  15. Posted by mohd ahmad on July 21, 2012 at 04:28

    assalamalequm wasim bhai aap ka jbab nhai allah aap ko slamat rakhe
    mohd ahmad mbd 9837463910

    Reply

  16. Posted by dishu on October 28, 2012 at 06:40

    awesome poetry…..

    Reply

  17. Posted by pankaj agarwal on November 23, 2012 at 11:08

    Lage hai sab tujhe aajmane mein,
    Na tha na hoga, tujhsa koi ess jamane mein.

    Kya khub likhte hain waseem saab…zindabad….
    khuda aapko kamse kam meri zindgi tak to salamat rakhe, taki main aakhir tak aap ko padh sakun….

    Reply

  18. Posted by Aijaz shaikh on November 30, 2012 at 19:02

    Wasim sahab jayse insan sadiyo me hote

    Reply

  19. Posted by Niyamat Pathan on February 9, 2013 at 18:00

    What i say , your shayari is parvardigar’s gift for us. Niyamat , Ahmedabad.

    Reply

  20. Posted by M. Iqbal on March 10, 2013 at 05:21

    Lafzon ka pirona bahot khubsoorat hai.

    Reply

  21. Posted by Md. Mushtaque on March 22, 2013 at 18:22

    wasim acha hua jo aap shaiyar hue,
    warna shaiyri ki samundar pyasi rehti..
    please send me your contact no.
    ek tamanna hai jo puri karna chahta hoon
    phone par aap se baat karna chahta hoon.

    Regards,
    Md. Mushtaque, Kolkata
    +91 9007745501

    Reply

  22. Posted by mohd noorez on March 23, 2013 at 05:41

    some are born poet..wasim barelvi is a fine example for it

    Reply

  23. Posted by pankaj kumar on June 30, 2013 at 16:11

    bahut khub. wah wah

    Reply

  24. Posted by Anwar siddiqui on July 10, 2013 at 06:22

    Assalamualaikum…
    Waseem sahab beshak aap ke muqabil koyi bhi shayar meri nAzar main nahin hai..
    mujhme aapke shayari ko darja dene ki salahiyat nahin hai Magar itna zarur kehna chahunga k jo bhi aapki shayari ko padhta ya sunta h wo zehen o dil par gehra asar chodti hai.
    jaise :-
    Choti choti batein kar k bade kahan ban jaoge.
    Patli galiyon se niklo to khuli sadak par aaoge.
    or
    Khauf k saaye me gar bachche ko rehna pada.
    Bezuban ho jayega ya badzuban ho jayega..
    Khuda aapko salamat rakhe. Khuda Hafiz

    Reply

  25. Posted by Bal Govind Chaturvedi on September 1, 2013 at 05:03

    ‘kya kahun main tere bare me wasim.. Kuchh kahna suraj ko diya dikhana hai..

    Reply

  26. Posted by Bal Govind Chaturvedi on September 1, 2013 at 05:05

    Main kya kahun tere bare me wasim..
    Tujhu kuchh kahna suraj ko diya dikhana hai

    Reply

  27. Posted by Reyan on October 4, 2013 at 19:32

    us k honton pe kuch kaanpta reh gya……aate aate aate mera naam sa reh gya(bht khoobsurat sir…..aap ne to zindgi utaar di lafzon me
    )

    Reply

  28. Posted by Ehsanuddin Qazi on December 7, 2013 at 09:48

    Wo Nabio me rehamath lakhab pane wala.
    wo apnay parye ka gham khane wala.
    usi se hai islaam ka bo bala.
    Allah Ka Bad Karma Hai Aap Par.

    Charagh Hai Roshan Kare Hai.
    Likhraha Ansuo se ke koi padna sakhe hai.

    Kuch ek ashaar agar aap Sarvare Kainaath Ke liye bhi likh ho to arz kare.

    Reply

  29. aahh..very good..check this one too : http://shayari-e-hind.blogspot.com/

    Reply

Leave a reply to Md. Mushtaque Cancel reply